Saturday 25 March 2017

Adsense Account Suspension Kya Hai, Safety Tips Full Guide In Hindi

Tags

Adsense Account suspension kya hai aur kya aap ka account suspend ho gya hai ya hone waala hai, aur ye kyu hota hai, ishke pichhe reason kya hai, aaj ish post mein hum ishi bare mein janenge. Most of hindi bloggers blog par traffic naa aa paane ke karan presaan ho jaate hai aur nirash ho jaate hai aur apni nakamyaabi ko chhupaane ke liye wo kuchh aise tricks apnaate hai jis se baad mein unka adsense account suspend ho jata hai ya phir permanently disable ho jata hai.

Adsense account suspension ko lekar muje kayi emails bhi mile and kayi dosto ne puchha bhi ki ye kyu hota hai so mai ye post apne un readers ke liye likh rha hu jo account suspension jaisi problem ko face kar rahe hai, aur sath hi har blogger ko ye post padhna chahiye kyu ke adsense account jaisi problem kisi bhi blogger ko mentally presaan kar sakti hai, so ish detailed hindi guide mein aap account suspension ke reasons ke bare mein janenge aur sarh hi aap ish tarah ki problems ko kaise solve kare ish bare mein bhi adsense account safety ke liye kuch tips aur tricks btaunga jo aap ka account suspended hone se safe rakhengi. so ish post ko aap dhyaan se padhe aur account suspension ke bare mein.

What is Invalid Traffic Kya Hota Hai

Most of adsense account suspension ka reason invalid traffic hota hai jisko hum 2 type se divide kar sakte hai, first wo publishers hote hai jo adsense ad ko live test karte hai, second wo jo black hat seo ko follow kar fake traffic generate karte hai, dono hi conditions mein aap ka account suspend ho sakta hai lekin according to first condition mein aap ka account suspend hoga lekin second mein aap ka account block hoga. so ab hum janenge ki aakhir invalid traffic ki sahi definition kya hai aur kounsi category ka traffic invalid hota hai.
Aap ko mai simple language mein bta dena chahta hu ke invalid traffic wo hota hai jo adsense ads par baar baar click kiya jaaye aur impressions ko badhaya jaaye, mean agar aap ko kisi aise source se ads clicks mil rahe hai jo fake hai kisi bot se ho rahe hai to wo invalid traffic ki category me aayega, ish tarah ke farji traffic sources ko google pahle hi black hat seo list mein saamil kar chuka hai lekin phir bhi kayi baar bloggers anjaane mein ye kar dete hai.
Jaisa ki sabhi adsense publishers jaante hai ki adsense ke rules bahut hi strict hai aur ish tarah se fake aur invalid traffic se advertisers ko loss hota hai so google apne advertisers ke rights ko safe rakhne ke liye invalid traffic waale publishers ka account suspend kar deta hai, kyu ki ye baat to hum bhi jaante hai ki agar hum advertising ke liye paisa laga rahe hai aur hume ushke positive result nhi milte hai to hum nirash ho jaate hai aur same yahi google karta hai wo apne advertisers ke rights ko lekar bahut strict ho aur unhe bnaye rkhne ke liye fake publishers jo invalid traffic se ad click karwaate hai, unka account suspend kar deta hai.

What is An Adsense Account Suspension Kya Hota Hai

Aap ne adsense account suspend kyu hota hai ye to jaan liya lekin aise bahut se blogger hai jo ye nhi jante hai ki account suspension kya hai. Mai ye ishliye kah rha hu kyu ke account suspension aur account disabled ye do alag alag conditions hai.
Account suspension wo hota hai jis mein ek limited time ke liye Adsense Ads show hona band ho jaate hai aur hume adsense se ush time period ki douran koi revenue nhi milta hai aur agar invalid traffic se account suspend hua hai to fake clicks jo earning huyi hai wo wapas advertisers ke account mein deduct kar di jaati hai aur publishers ko ek time period diya jaata hai jis mein wo invalid traffic source ko block kar ke site par genuine traffic gain kar sake, so ye account suspension hota hai aur ishki time limit according to adsense policies, 30 days hoti hai.
Account disabled hona mean agar aap adsense ke rules ko continue violate kar rahe hai to account permanent block kar diya jata hai jisko aap wapas recover nhi kar sakte, so suspension or disabled account mein ye difference hai.
Agar invalid traffic se aap ka adsense account Suspend or Disabled hua hai to aap adsense help center se help le sakte hai.

Why My Adsense Account Get Suspended ?

Ye janna bahut hi jaruri hai ke adsense account suspend kyu hota hai aur reason behind suspension kya hai, agar aap ke blog ya website par farji yaani fake traffic drive ho rha hai aur ads par clicks ho rahe hai, ads impressions mein bahut jyada badhotari ho rahi hai to ye sabhi activities aap ka adsense account suspend karwa sakti hai.
  • Own site par ad click karna : publishers apne blog par show ho rahe adsense ads par khud click nhi kar sakta hai aur naa hi artificially methods se aisa kar sakta hai kyu ke google policies mein ye strictly prohibited hai. Agar aapne YouTube videos ko monetize kiya hua aur aap ushko khud dekhna chahte hai to ad ko skip kar de otherwise ad impression count hoga aur aap ka account suspend ho sakta hai.
Agar aap site par adsense ads lgana chahte hai to aap Google Publisher Toolbar ka use karna chahiye kyu ke ish tool se aap landing pages par show hone waale ad par click kar ke ads details ke baare mein jan sakte ho. Ye toolbar aap ko self click ki permission deta hai jis se aap ads destination check kar sake and ye method self click ya invalid traffic ki category mein nhi aata hai and aap ka account suspension se safe rahega.
  • Agar ek hi user adsense ad par baar baar click karta hai ya impression ko badhawa deta hai to ye invalid traffic mein count hoga. Same yahi YouTube channels ke liye rule hai agar video ad par baar baar same IP address se impression ya ad click hota hai to bhi invalid traffic category mein aayega, in both situations aap ka account suspend ya disabled kar diya jaayega.

Steps You should take during the suspension period.

Even, ye sawal un sabhi publishers ke man mein aayega jinka adsense account suspended hai, so mai yaha par aap sabhi ko bta dena chahta hu ke suspension time period mein aap ko sirf ye pta lgana hai ki aap ne aisi kounsi activities ki hai jis se ye hua hai, mostly agar aap ko account invalid traffic ki wajah se suspend hua hai to aap ko wo source pta lgana hoga jaha se aap ko invalid traffic mila, and then block the invalid traffic source by using google webmaster tool.
Aap ka adsense account jyada se jyada 30 days ke liye suspend hoga so ye time period ishiliye diya jaata hai ki aap invalid traffic sources ka pta lga sake aur site/blog ko bilkul clear traffic se run karwaaye.
Can I appeal an account suspension ?
Agar aap ka adsense account suspend ho gya hai to aap ko 30 days ke liye wait hi karna hoga aur aap google se kisi bhi tarah ki koi appeal nhi kar sakte. Ish situation mein aap invalid traffic form fill kar adsense se koi bhi help nhi sakte.
Agar aap koi additional information provide kar suspension ko solve karne mein google ki help karna chahte hai to Suspended Publisher Feedback Form ko fill kar sakte hai.
When will my account be re-enabled?
Agar google investigation mein koi bhi compliance issues nhi milta hai aap ka account 30 days ke time period khatam ho jaane ke baad automatic hi re-enabled kar diya jayega.
What happens if after my account was re-enabled, my account continues to generate invalid traffic?
Ye bahut hi kaam ka sawal hai aur har publisher ko janna jaruri hai ki agar aap ka adsense account suspend hone ke baad wapas enable kar diya jaata hai aur site/blog par pahle ki tarah hi invalid traffic aa rha hai to second time aap ko google se suspension nhi balki direct aap ka account disabled kar diya jayega aur aap dobara kabhi adsense account nhi bna paaoge.

So friends mai aap sabhi se kahna chahunga ke aap google adsense ke sath honestl co-oprate kare aur blog par adsense use kar paise kamana chahte hai to imaandari se kaam kare aur fake tricks se bache otherwise aap apna adsense account kho doge.


EmoticonEmoticon