Saturday 25 March 2017

BLOG KA TEMPLATE CHANGE KAISE KARE – ब्लॉग का टेम्पलेट चेंज कैसे करे –

Tags


Blog Ka Template Change Kaise Kare Website Templates Ki Jankari Hindi Me

Hi Friends, aaj hum sikhenge ki Blog Ka Template Change Kaise Kare Website Templates Ki Jankari Hindi Me. Blogger Blogspot Ka Template Change karna important hai. Because apko apne blog ko beautiful design and unique look dene ke liye apne blog ka template change karna aana chahiye. Hum apne blog par mehnat karke bahot achche achche post upload karte he. Logon ko ho sake utni aasan bhasha me likhte he. Phir bhi agar hamare blog ko like na kare ya hamare web par visitors na badhe to hum nirash ho jate he. Kyon ki agar itni mehnat karke bhi agar visitors na aaye to dukh jarur hota he. Iske liye bas ek hi tarika he. Apne blog ka template attractive aur simple hona chahiye.
To chaliye jane Blog Ka Template Change Kaise Kare Website Templates Ki Jankari Hindi Me. (blogger templates, blog templates, free blogger templates, blogspot templates, blog template, blogger themes. Blogger templates free, blog themes, free blogspot templates, free templates for blogger, free blogspot, blogspot themes, blog website templates, free blogger).

Blog Ka Template Kaisa Hona Chahiye

Blogger Blogspot Ka Template Change Kaise Kare. Blogging ke liye apko template ko achche se change karna aur thoda bahut edit karna aana chahiye, agar aap new hai to aap sikh jayenge, ye koi bahut badi baat nahi hai. Hame jarurat hai ek naye SEO friendly, Mobile Friendly aur Fast Loading template ki.

Template kya hota hai?

Ye coding ka ek xml file hota hai. Yani apke blog ki design kaisa hoga, menu kaise honge, header, footer, sidbar kis color ka hoga iski puri coding is xml file me hoti hai. Yani apke blog ka puri design hota hai, ye template free aur paid dono available hai.
Internet par bahut sare professional design blogger template free me download kar apne blog me laga sakte ho, agle post me apko professional blogger template ka collection apke liye lekar aaunga.

Blog Ka Template Change Kyon Kare

Blogspot Template Themes Kaise Change Kare. Blogger ne to bahut sare free me Template de rakhe hai magar aap ko apna Blog aur bhi sundar aur attractive banana hai to aap ko kisi free website se sundar aur attractive Template download karni hogi. Mai ye nahi keh raha ki blogger ke dwara pehle se diye gaye templates bikaar hai. Par wo sabhi templates traffic nahi kheech pate aur naa hi mobile par sahi dikhte hai.
Change karne se pehle ye jaanle ki template ka backup kaise lete hai, jisseki agar kuch gadbadi hui to aap kam se kam apne purane template ko to wapas laga sakege.
Template kaha se download kare
Waise to Template download karne ke liye bahut sare website hai  hai jaise http://btemplate.com ya phir webdesignrazzi.com etc.

Blog Ka Template Change Kaise Kare

Step 1:

Sabse pahle aap blogger.com par blog ke liye aap jo mail ID use karte he usse login kare. Waha apne Blog ke Dashboard par jaye.

Step 2:

  1. Template par click kare.
  2. Backup/Restore par click kare.

Step 3:

  1. Naya Template Upload karne se pahle aap apne recent Blog ke Template ka backup le lijiye. Download Full Template par click kar ke. Backup le lena achha hota hai kyon ki agar naya Template upload karne ke baad usme koi problem ya error aati hai to aap us backup wale file se apne purane wale Template ko dubara upload kar sake.
  2. Ab aap ko apna naya Template upload karne ke liye Choose File par click karna hai. Click karne ke baad wo aap se puch raha hai ki aap ke naya Template ka XML file kaha par hai. Aap us file ko select kar le aur agar aap ke pass nahi hai to aap sabse pahle Template file download kar le.
  3. XML file select karte hi Upload ka button active ho jayega aur aap ko Upload button ke upper click karna hai. Upload ke button ke upper click karte hi aap ka naya Template upload ho jayega.
Bas ho gaya. Apka naya template blog par ready he.
Mujhe umeed hai apko ye article accha laga hoga. Apne dosto ke sath aisi jankariya jarur share kare jo blogging me interest rakhte hai. Ye post ko un tak Jarur pahunchaye.


EmoticonEmoticon